Tha Main AaKHir Usi Mausam Ki Faza Mein Pahle

tha main aaKHir usi mausam ki faza mein pahle

is qadar soz na tha meri nawa mein pahle

hai agar us ki ye hasrat ki use sab dekhen

shahid-e-charKH ho ru-posh ghaTa mein pahle

KHak-poshon ke badan der mein lau dete hain

aag lagti hai kisi narm qaba mein pahle

honT sina bhi hai ab farz chalo ye bhi sahi

aisi sharten na thin aadab-e-wafa mein pahle

ahl-e-fan us ko na bhulen ki dil o jaan ki tapish

harf mein baad ko aati hai sada mein pahle

mere arsa-gah-e-taqdir mein aane walo

din guzaro kisi aashob-sara mein pahle

mere sahra mein tum aae to ho nazuk-nafaso

sans bhi li hai kabhi aisi hawa mein pahle

(343) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tha Main AaKHir Usi Mausam Ki Faza Mein Pahle In English By Famous Poet Mahshar Badayuni. Tha Main AaKHir Usi Mausam Ki Faza Mein Pahle is written by Mahshar Badayuni. Read famous Poem Tha Main AaKHir Usi Mausam Ki Faza Mein Pahle for youth and Student by Mahshar Badayuni. Free Download Tha Main AaKHir Usi Mausam Ki Faza Mein Pahle in PDF.