Use Hum Bhi Bhul BaiThe Na Kar Us Ka Zikr Tu Bhi

use hum bhi bhul baiThe na kar us ka zikr tu bhi

koi chaak agar ho zahir to karen use rafu bhi

chalo chal ke puchh aaen ki KHizan ki is gali mein

kabhi aa chuka ho shayad koi sail-e-rang-o-bu bhi

uDi tishnagi ke kuche mein wo gard ek taraf se

hum uTha sake na taqon se gire hue subu bhi

abhi kaise bhul jaun main ye waqia safar mein

abhi gard-e-raftagan bhi hai jagah jagah lahu bhi

is iram iram zamin par ki bahaar umanD rahi hai

koi phul agar khila de meri be-numu bhi

teri anjuman ki raunaq mein na farq aaega kuchh

hamein chup biThane wale kabhi hum se guftugu bhi

mere KHal-o-KHad ko surat ka farogh dene walo

kisi naqsh mein dikhao mera zaKHm-e-shola-ru bhi

(379) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Use Hum Bhi Bhul BaiThe Na Kar Us Ka Zikr Tu Bhi In English By Famous Poet Mahshar Badayuni. Use Hum Bhi Bhul BaiThe Na Kar Us Ka Zikr Tu Bhi is written by Mahshar Badayuni. Read famous Poem Use Hum Bhi Bhul BaiThe Na Kar Us Ka Zikr Tu Bhi for youth and Student by Mahshar Badayuni. Free Download Use Hum Bhi Bhul BaiThe Na Kar Us Ka Zikr Tu Bhi in PDF.