Waqti Ye Hisab-e-zulm Kab Hai

waqti ye hisab-e-zulm kab hai

tariKH ke hafize mein sab hai

hum pahle bhi kam dukhi nahin the

ye haal kabhi na tha jo ab hai

jaanon ko laga shadid aazar

sangin hi kuchh is ka sabab hai

wo rut hai na ab wo ham-nawa hain

ab nauha-e-KHu-gari hi kar-e-lab hai

ehsas ke band TuTte hain

lekin ye shikastagi ajab hai

dil jalta hai kuchh khule bhi aaKHir

kab tak ye tamazat-e-ghazab hai

kya maut hi ab hai chaara-e-jaan

har lamha-e-umr KHun-talab hai

(444) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Waqti Ye Hisab-e-zulm Kab Hai In English By Famous Poet Mahshar Badayuni. Waqti Ye Hisab-e-zulm Kab Hai is written by Mahshar Badayuni. Read famous Poem Waqti Ye Hisab-e-zulm Kab Hai for youth and Student by Mahshar Badayuni. Free Download Waqti Ye Hisab-e-zulm Kab Hai in PDF.