Wo Arzan To Karen Jawon Ko Diwane Bhi Aate Hain

wo arzan to karen jawon ko diwane bhi aate hain

jahan shamen jala karti hain parwane bhi aate hain

kuchh is andaz se aae teri mahfil mein diwane

koi ye kah to de mahfil mein diwane bhi aate hain

ye fitrat husn ki hai wo taqaza hai mohabbat ka

wo dil ko toDne ke baad samjhane bhi aate hain

sabhi sehn-e-chaman mein phul chunne ko nahin aate

kuchh apne damanon mein KHar uljhane bhi aate hain

mohabbat ke gulistanon mein phalne-phulne walo

isi raste mein aage chal ke virane bhi aate hain

nahin malum tark-e-dosti ke baad kyun mahshar

wo tark-e-dosti par bahs farmane bhi aate hain

(380) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Arzan To Karen Jawon Ko Diwane Bhi Aate Hain In English By Famous Poet Mahshar Badayuni. Wo Arzan To Karen Jawon Ko Diwane Bhi Aate Hain is written by Mahshar Badayuni. Read famous Poem Wo Arzan To Karen Jawon Ko Diwane Bhi Aate Hain for youth and Student by Mahshar Badayuni. Free Download Wo Arzan To Karen Jawon Ko Diwane Bhi Aate Hain in PDF.