Wo Haal Hai Ki Talash-e-najat Ki Jae

wo haal hai ki talash-e-najat ki jae

kisi faqir-e-dua-go se baat ki jae

ye shahr kaisa KHush-auqat tha aur ab kya hai

jo din bhi nikle to wahshat na raat ki jae

koi to shakl-e-guman ho koi to hila-e-KHair

kisi tarah to basar ab hayat ki jae

gharon mein waqt-guzari ka ab hai shughl hi kya

yahi ki guftugu-e-hadsat ki jae

agar yahi hai ab ifa-e-ahd mein pas-o-pesh

to KHatm rasm-o-rah-e-iltifat ki jae

husul-e-fath gharaz ho to kya baja hai ye taur

tabah us ke liye kaenat ki jae

muhaal hi mein kuchh aasudgi bahaal karen

kahan tak aarzu-e-mumkinat ki jae

kuchh aise bhi hain tahi-dast o be-nawa jin se

milaen hath to KHushbu na hat ki jae

(442) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Haal Hai Ki Talash-e-najat Ki Jae In English By Famous Poet Mahshar Badayuni. Wo Haal Hai Ki Talash-e-najat Ki Jae is written by Mahshar Badayuni. Read famous Poem Wo Haal Hai Ki Talash-e-najat Ki Jae for youth and Student by Mahshar Badayuni. Free Download Wo Haal Hai Ki Talash-e-najat Ki Jae in PDF.