Farebon Se Na Bahlega Dil-e-ashufta-kaam Apna

farebon se na bahlega dil-e-ashufta-kaam apna

ba-zahir muskura kar dekhne wale salam apna

kisi ki bazm ke haalat ne samjha diya mujh ko

ki jab saqi nahin apna to mai apni na jam apna

agar apne dil-e-betab ko samjha liya main ne

to ye kafir nigahen kar sakengi intizam apna

mukammal kar gaya jal kar hayat-e-gham ko parwana

aur ek hum the ki afsana bhi chhoDa na-tamam apna

jahan-e-ishq mein aise maqamon se bhi guzra hun

ki baz-auqat KHud karna paDa hai ehtiram apna

main diwana sahi lekin wo KHush-qismat hun ai 'mahshar'

ki duniya ki zaban par aa gaya hai aaj nam apna

(395) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Farebon Se Na Bahlega Dil-e-ashufta-kaam Apna In English By Famous Poet Mahshar Inayati. Farebon Se Na Bahlega Dil-e-ashufta-kaam Apna is written by Mahshar Inayati. Read famous Poem Farebon Se Na Bahlega Dil-e-ashufta-kaam Apna for youth and Student by Mahshar Inayati. Free Download Farebon Se Na Bahlega Dil-e-ashufta-kaam Apna in PDF.