Fikr-e-tajdid-e-riwayat-e-kuhan Aaj Bhi Hai

fikr-e-tajdid-e-riwayat-e-kuhan aaj bhi hai

haq-bayani ka sila dar-o-rasan aaj bhi hai

pasbanan-e-chaman ki rawish-e-korana

wajh-e-ruswai-e-ain-e-chaman aaj bhi hai

mai-e-pindar ke do ghunT ki bardasht kise

tha jo pahle wo bahakne ka chalan aaj bhi hai

rahnuma hain ki sar-e-rah aDe baiThe hain

karwan hai ki saza-war-e-mehan aaj bhi hai

waqt ke nabz-shanason se kaho tez chalen

KHud-farebon ki jabinon pe shikan aaj bhi hai

kar chuka hai jo har ek daur mein tiryaq ka kaam

mere saghar mein wahi zahr-e-suKHan aaj bhi hai

wahi 'mahshar' jo nigahon mein khaTakta hi raha

apni bebak-bayani pe magan aaj bhi hai

(386) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Fikr-e-tajdid-e-riwayat-e-kuhan Aaj Bhi Hai In English By Famous Poet Mahshar Inayati. Fikr-e-tajdid-e-riwayat-e-kuhan Aaj Bhi Hai is written by Mahshar Inayati. Read famous Poem Fikr-e-tajdid-e-riwayat-e-kuhan Aaj Bhi Hai for youth and Student by Mahshar Inayati. Free Download Fikr-e-tajdid-e-riwayat-e-kuhan Aaj Bhi Hai in PDF.