Ghuncha-e-dil Ki Bikharta Bhi Dikhai Na Diya

ghuncha-e-dil ki bikharta bhi dikhai na diya

aisa bikhra ki ishaara bhi dikhai na diya

kis ke ham-rah nazar aata tha tanha tanha

kis se bachhDa hun ki tanha bhi dikhai na diya

raushni ki wo chaka-chaundh thi aankhon mein ki hum

shahr se nikle to sahra bhi dikhai na diya

sard-mehri-e-zamana ki sulagti hui aag

kya bala thi ki dhuan sa bhi dikhai na diya

un kitabon pe to hum ne bhi kiya hai kuchh kaam

jin mein ek harf-e-tamanna bhi dikhai na diya

bas chale the ki ghubar-e-rah-e-manzil uTTha

chehre wo badle ki apna bhi dikhai na diya

raat bhar KHun ke dariya mein nahaya KHurshid

daman-e-subh pe dhabba bhi dikhai na diya

sara aalam tha ki tarik nazar aata tha

aur 'mahshar' ko dhundlaka bhi dikhai na diya

(414) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghuncha-e-dil Ki Bikharta Bhi Dikhai Na Diya In English By Famous Poet Mahshar Inayati. Ghuncha-e-dil Ki Bikharta Bhi Dikhai Na Diya is written by Mahshar Inayati. Read famous Poem Ghuncha-e-dil Ki Bikharta Bhi Dikhai Na Diya for youth and Student by Mahshar Inayati. Free Download Ghuncha-e-dil Ki Bikharta Bhi Dikhai Na Diya in PDF.