Haar Kar Hijr-e-na-tamam Se Hum

haar kar hijr-e-na-tamam se hum

chupke baiThe hue hain sham se hum

kaise itra rahe hain apni jagah

ho ke mansub un ke nam se hum

bas ki diwana hi kahenge log

aashna hain mazaq-e-am se hum

un ki aankhon ko jam kah to diya

ab nigahen laDaen jam se hum

ruKH pe zulfen bikhere aa jao

lau lagae hue hain sham se hum

nam kyun len kisi ke kuche ka

ek jagah ja rahe hain kaam se hum

un ko pana hai kis liye 'mahshar'

baz aaen KHayal-e-KHam se hum

(361) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Haar Kar Hijr-e-na-tamam Se Hum In English By Famous Poet Mahshar Inayati. Haar Kar Hijr-e-na-tamam Se Hum is written by Mahshar Inayati. Read famous Poem Haar Kar Hijr-e-na-tamam Se Hum for youth and Student by Mahshar Inayati. Free Download Haar Kar Hijr-e-na-tamam Se Hum in PDF.