Tere Suluk-e-taghaful Se Ho Ke Saudai

tere suluk-e-taghaful se ho ke saudai

chala hun main to kuchh aage chali hai ruswai

naya naya hai abhi jazba-e-KHud-arai

KHuda kare ki na aae KHayal-e-yaktai

tabiaton mein baDa iKHtilaf hota hai

mujhe to arz-e-tamanna pe sharm si aai

hayat-e-ishq ke ye pech o KHam nasheb o faraaz

inhin ka nam hai shayad kisi ki angDai

jo aaj zikr chala aastin ke sanpon ka

to mujh ko apne kai doston ki yaad aai

tumhaari yaad ko rah rah ke gher lati hai

mah o nujum ki tabish gulon ki ranai

talab ki maut samajhiye rah-e-talab mein qayam

baDa ghalat hai taqaza-e-abla-pai

tamam umr mein pahuncha hun is natije par

nashat-e-bazm se behtar hai dard-e-tanhai

wo ibtida-e-mohabbat ki guftugu 'mahshar'

baja raha ho koi dur jaise shahnai

(402) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tere Suluk-e-taghaful Se Ho Ke Saudai In English By Famous Poet Mahshar Inayati. Tere Suluk-e-taghaful Se Ho Ke Saudai is written by Mahshar Inayati. Read famous Poem Tere Suluk-e-taghaful Se Ho Ke Saudai for youth and Student by Mahshar Inayati. Free Download Tere Suluk-e-taghaful Se Ho Ke Saudai in PDF.