Zindagi Se Thak Ke Us Kuche Mein Hun BaiTha Hua
zindagi se thak ke us kuche mein hun baiTha hua
jaise apne waqt ka sufi baDa pahuncha hua
jis tarah baadal baras jaen nikhar jaane ke baad
aaj aansu bah ke dil ka bojh kuchh halka hua
jaane kab se dhup mein pyase paDe the KHar-e-dasht
mere talwon ka sahaara mil gaya achchha hua
shahr-e-be-ehsas mein meri sada-e-ehtijaj
tir ho jaise andhere mein koi chhoDa hua
tarz-e-istifsar kab hai meri baaton ka jawab
ye koi andaz hai phir kya hua phir kya hua
zindagi raqsan ho 'mahshar' jhum uTThe kaenat
KHwab se uTTha hun main angDaiyan leta hua
(378) Peoples Rate This