Phulon Mein Jhalak Husn-e-ruKH-e-yar Ki Nikli

phulon mein jhalak husn-e-ruKH-e-yar ki nikli

hum KHush hain koi shakl to didar ki nikli

alfaz se KHushbu tere kirdar ki nikli

jab baat masiha tere guftar ki nikli

nilam hue chand har ek shahr mein lekin

raunaq na kahin misr ke bazar ki nikli

honTon ki hansi bin gae jo zaKHm the dil mein

surat koi jab aur na izhaar ki nikli

dekha to ye samjhe kisi darwesh ka ghar hai

puchha to wo kuTiya bhi zamindar ki nikli

phir phul barasne lage lafzon ke dahan se

phir baat kisi ke lab-o-ruKHsar ki nikli

zanjir ki tangi thi asiran-e-wafa the

aawaz bhi zindan se na jhankar ki nikli

(579) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phulon Mein Jhalak Husn-e-ruKH-e-yar Ki Nikli In English By Famous Poet Mahtab Alam. Phulon Mein Jhalak Husn-e-ruKH-e-yar Ki Nikli is written by Mahtab Alam. Read famous Poem Phulon Mein Jhalak Husn-e-ruKH-e-yar Ki Nikli for youth and Student by Mahtab Alam. Free Download Phulon Mein Jhalak Husn-e-ruKH-e-yar Ki Nikli in PDF.