Use Bhulae Hue Mujhko Ek Zamana Hua

use bhulae hue mujh ko ek zamana hua

ki ab tamam mere dard ka fasana hua

hua badan mera dushman adu hui meri ruh

main kis ke dam mein aaya hawas-nishana hua

yahi charagh jo raushan hai bujh bhi sakta tha

bhala hua ki hawaon ka samna na hua

ki jis ki subh mahakti thi sham raushan thi

suna hai wo dar-e-daulat gharib-KHana hua

wo log KHush hain ki wabasta-e-zamana hain

main mutmain hun ki dar us ka mujh pe wa na hua

(407) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Use Bhulae Hue Mujhko Ek Zamana Hua In English By Famous Poet Mahtab Haider Naqvi. Use Bhulae Hue Mujhko Ek Zamana Hua is written by Mahtab Haider Naqvi. Read famous Poem Use Bhulae Hue Mujhko Ek Zamana Hua for youth and Student by Mahtab Haider Naqvi. Free Download Use Bhulae Hue Mujhko Ek Zamana Hua in PDF.