Usi Dard-ashna Dil Ki Taraf-dari Mein Rahte Hain

usi dard-ashna dil ki taraf-dari mein rahte hain

hum apne-ap mein gum apni gham-KHwari mein rahte hain

yunhi hum rafta rafta dil-girafta hote jaenge

ki hum apne ghamon ki naz-bardari mein rahte hain

ye duniya hum ne duniya-dar ki aankhon se dekhi hai

magar ai dil hum apni hi amal-dari mein rahte hain

hamare sukh bahut kam aur dukh un se bahut kam hain

so hum bhi aaj kal un ki nigah-dari mein rahte hain

abhi ahl-e-hawas duniya mein kya kya gul khilaenge

abhi ahl-e-junun KHwab-e-jahan-dari mein rahte hain

(391) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Usi Dard-ashna Dil Ki Taraf-dari Mein Rahte Hain In English By Famous Poet Mahtab Haider Naqvi. Usi Dard-ashna Dil Ki Taraf-dari Mein Rahte Hain is written by Mahtab Haider Naqvi. Read famous Poem Usi Dard-ashna Dil Ki Taraf-dari Mein Rahte Hain for youth and Student by Mahtab Haider Naqvi. Free Download Usi Dard-ashna Dil Ki Taraf-dari Mein Rahte Hain in PDF.