Ye Jahan KHub Hai Sab Is Ke Nazare Achchhe

ye jahan KHub hai sab is ke nazare achchhe

us se baDh kar hain ise chahne wale achchhe

ek hi dauD mein shamil hon sabhi log to phir

sare aghyar bhale hain sabhi apne achchhe

aaj bhi teri himayat hai ki ai mauj-e-bala

chashm-e-namnak bhali KHun ke dhaare achchhe

kis ki tarif karen kis ke qaside likkhen

nafs-e-mazmun se baDh kar hain hawale achchhe

in dinon aab-o-hawa-e-dil-o-jaan behtar hai

mah-ruKH mah-jabin mah ke pare achchhe

ye to ek kar-e-ziyan hai jo rahega jari

hum se aaenge suKHan-war abhi achchhe achchhe

(368) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Jahan KHub Hai Sab Is Ke Nazare Achchhe In English By Famous Poet Mahtab Haider Naqvi. Ye Jahan KHub Hai Sab Is Ke Nazare Achchhe is written by Mahtab Haider Naqvi. Read famous Poem Ye Jahan KHub Hai Sab Is Ke Nazare Achchhe for youth and Student by Mahtab Haider Naqvi. Free Download Ye Jahan KHub Hai Sab Is Ke Nazare Achchhe in PDF.