Main Aur Tum

raat ke pichhle pahar ki sunsan saDken

rim-jhim barasti barish ki phuwar mein bhigti

jaise ji uThi thin

jab mere hath apne hathon mein liye tum ne

lams ki hiddat se bojhal hoti

be-tartib sanson ke beach ulajhti

apni dil-nashin aawaz

mere kanon mein tumhaare liye

meri aaKHiri nazm surat utari thi

is anmol lamhe mein

tumhaari zat ke sehr mein khoi hui main

kisi anjaan si yaad ki kasak tale

dhire se sulagte hue tum

mohabbat ka uluhi naghma alaptin

gaDi ke shishon se Takraatin

rim-jhim barasti bunden

dashboard pe dhari bhap uDati

hamare labon mein paiwast hone ko be-qarar

kafi ki do muntazir pyaliyan

chahaar-su chhai tumhaare ehsas ki KHushbu se

jaise jawedan ho chale the

yaad nahin paDta hai ab

ki main tum aur kafi ki mahak

barish ke haale mein

tumhaari nazmon ki chhatri tale

ek dusre mein kitna ghul gae the

bas itna pata hai

ki

waqt

is lamhe

apni muTThi mein qaid

hamare hisse ke pal

hum pe warne

Thahar gaya tha

(489) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Aur Tum In English By Famous Poet Maimoona Abbas Khan. Main Aur Tum is written by Maimoona Abbas Khan. Read famous Poem Main Aur Tum for youth and Student by Maimoona Abbas Khan. Free Download Main Aur Tum in PDF.