Maut Kis Ne BanTi Hai

raat ke andhere mein

aaj phir dabe panw

sarsaraati sargoshi

phan uTha ke chalti hai

waqt ret ki manind

hath se phisalta hai

nind mujh se ruThi hai

bhuk raqs karti hai

pyas chubhne lagti hai

sans kyun aTakti hai

jhanko meri aankhon mein

aks dekh lo apna

aur mujhe ye batla do

kya tumhein khaTakta hai

kyun gurezan ho mujh se

kya mein bojh lagti hun

kyun machal si jati ho

hath bhi baDhati ho

phir pare khisakti ho

hath khol do mere

bhinch lo na sine mein

gal chhune do apne

gar nahin rahi kal main

lams to rahega na

ye sadaen kaisi hain

jin ki gunj se mere

kan sansanate hain

kis ki siskiyan hain ye

zindagi ki ya tum ho

maut to nahin na ye

maut gar nahin hai ye

aahaTen hain phir kis ki

kyun ghuTan ka pahra hai

kya mujhe janam de kar

tum ne maut banTi hai

(410) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Maut Kis Ne BanTi Hai In English By Famous Poet Maimoona Abbas Khan. Maut Kis Ne BanTi Hai is written by Maimoona Abbas Khan. Read famous Poem Maut Kis Ne BanTi Hai for youth and Student by Maimoona Abbas Khan. Free Download Maut Kis Ne BanTi Hai in PDF.