BaKHsh De Kuchh To Etibar Mujhe

baKHsh de kuchh to e'tibar mujhe

pyar se dekh chashm-e-yar mujhe

raat bhi chand bhi samundar bhi

mil gae kitne gham-gusar mujhe

raushni aur kuchh baDha jaun

soz-e-gham aur bhi nikhaar mujhe

kuchh hi din mein bahaar aa jati

aur karna tha intizar mujhe

dekh duniya ye paintare na badal

dekh shishe mein mat utar mujhe

aaine mein nazar nahin aata

apna chehra kabhi-kabhaar mujhe

kis qadar shoKH ho ke takta tha

raat band-e-qaba-e-yar mujhe

dekh main saat-e-masarrat hun

itni ujlat se mat guzar mujhe

markab-e-KHak par sawar hun main

dekh ai shahr-e-zar-nigar mujhe

rizq-e-maqsum kha ke jina tha

kha gai fikr-e-rozgar mujhe

(345) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

BaKHsh De Kuchh To Etibar Mujhe In English By Famous Poet Majeed Akhtar. BaKHsh De Kuchh To Etibar Mujhe is written by Majeed Akhtar. Read famous Poem BaKHsh De Kuchh To Etibar Mujhe for youth and Student by Majeed Akhtar. Free Download BaKHsh De Kuchh To Etibar Mujhe in PDF.