Karam Ke Bab Mein Apnon Se Ibtida Kiya Kar

karam ke bab mein apnon se ibtida kiya kar

zara si baat pe dil ko na yun bura kiya kar

namaz-e-ishq hai TuTe dilon ki dildari

mere aziz na is ko kabhi qaza kiya kar

ujale ke liye hai chashm o dil ka aaina

bapa kabhi kisi mazlum ki aza kiya kar

ba-nam-e-mazhab-o-millat ye KHun bahana kya

hari hari wo karen tu KHuda KHuda kiya kar

baja sahi ye haya aur ye ehtiyat magar

kabhi kabhi to mohabbat mein hausla kiya kar

nazar mein rakh mere izhaar ki zarurat ko

kabhi to nun ka elan bhi rawa kiya kar

wo aib Dhakta hai tere sabhi majid-'aKHtar'

so tu bhi darguzar ahbab ki KHata kiya kar

(354) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Karam Ke Bab Mein Apnon Se Ibtida Kiya Kar In English By Famous Poet Majeed Akhtar. Karam Ke Bab Mein Apnon Se Ibtida Kiya Kar is written by Majeed Akhtar. Read famous Poem Karam Ke Bab Mein Apnon Se Ibtida Kiya Kar for youth and Student by Majeed Akhtar. Free Download Karam Ke Bab Mein Apnon Se Ibtida Kiya Kar in PDF.