Baras Gaya Ba-KHarabaat-e-arzu Tera Gham

baras gaya ba-KHarabaat-e-arzu tera gham

qadah qadah teri yaaden subu subu tera gham

tere KHayal ke pahlu se uTh ke jab dekha

mahak raha tha zamane mein chaar-su tera gham

ghubar-e-rang mein ras DhunDhti kiran teri dhun

giraft-e-sang mein bal khati aab-e-ju tera gham

nadi pe chand ka partaw tera nishan-e-qadam

KHat-e-sahar pe andheron ka raqs tu tera gham

naKHil-e-zist ki chhanw mein nai-ba-lab teri yaad

fasil-e-dil ki kalas par sitara-ju tera gham

tulu-e-mahr shagufta sahar siyahi-e-shab

teri talab tujhe pane ki aarzu tera gham

nigah uThi to zamane ke samne tera rup

palak jhuki to mere dil ke ru-ba-ru tera gham

(616) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Baras Gaya Ba-KHarabaat-e-arzu Tera Gham In English By Famous Poet Majeed Amjad. Baras Gaya Ba-KHarabaat-e-arzu Tera Gham is written by Majeed Amjad. Read famous Poem Baras Gaya Ba-KHarabaat-e-arzu Tera Gham for youth and Student by Majeed Amjad. Free Download Baras Gaya Ba-KHarabaat-e-arzu Tera Gham in PDF.