Chandni Mein Saya-ha-e-kaKH-o-ku Mein Ghumiye

chandni mein saya-ha-e-kaKH-o-ku mein ghumiye

phir kisi ko chahne ki aarzu mein ghumiye

shayad ek bhuli tamanna miTte miTte ji uThe

aur bhi is jalwa-zar-e-rang-o-bu mein ghumiye

ruh ke darbasta sannaTon ko le kar apne sath

hamhamati mahfilon ki hao-hu mein ghumiye

kya KHabar kis moD par mahjur yaaden aa milen

ghumti rahon pe gard-e-arzu mein ghumiye

zindagi ki rahaten milti nahin milti nahin

zindagi ka zahr pi kar justuju mein ghumiye

kunj-dauran ko nae ek zawiye se dekhiye

jin KHalaon mein nirale chand ghumen ghumiye

(281) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chandni Mein Saya-ha-e-kaKH-o-ku Mein Ghumiye In English By Famous Poet Majeed Amjad. Chandni Mein Saya-ha-e-kaKH-o-ku Mein Ghumiye is written by Majeed Amjad. Read famous Poem Chandni Mein Saya-ha-e-kaKH-o-ku Mein Ghumiye for youth and Student by Majeed Amjad. Free Download Chandni Mein Saya-ha-e-kaKH-o-ku Mein Ghumiye in PDF.