Jo Ho Sake To Mere Dil Ab Ek Wo Qissa Bhi

jo ho sake to mere dil ab ek wo qissa bhi

zara suna ki hai kuchh zikr jis mein tera bhi

kabhi safar hi safar mein jo umr-e-rafta ki samt

palaT ke dekha to uDti thi gard-e-farda bhi

baDe saliqe se duniya ne mere dil ko diye

wo ghao jin mein tha sachchaiyon ka charka bhi

kisi ki ruh se tha rabt aur apne hisse mein thi

wo be-kali jo hai mauj-e-zaman ka hissa bhi

ye aankhen hansti wafaen ye palken jhukte KHulus

kuchh is se baDh ke kisi ne kisi ko samjha bhi

ye rasm hasil-e-duniya hai ek ye rasm-e-suluk

hazar is mein sahi nafraton ka ima bhi

dilon ki aanch se tha barf ki silon pe kabhi

siyah sanson mein luthDa hua pasina bhi

mujhe Dhaki-chhupi in bujhi uljhanon se mila

jachi-tuli hui ek sans ka bharosa bhi

kabhi kabhi inhi alhaD hawaon mein 'amjad'

suna hai dur ke ek des ka sandesa bhi

(358) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Ho Sake To Mere Dil Ab Ek Wo Qissa Bhi In English By Famous Poet Majeed Amjad. Jo Ho Sake To Mere Dil Ab Ek Wo Qissa Bhi is written by Majeed Amjad. Read famous Poem Jo Ho Sake To Mere Dil Ab Ek Wo Qissa Bhi for youth and Student by Majeed Amjad. Free Download Jo Ho Sake To Mere Dil Ab Ek Wo Qissa Bhi in PDF.