Jawedan Qadron Ki ShaMein Bujh Gain To Jal UThi Taqdir-e-dil

jawedan qadron ki shamen bujh gain to jal uThi taqdir-e-dil

aaj is miTTi ke har zi-ruh zarre mein bhi hai taswir-e-dil

apne dil ki rakh chun kar kash in lamhon ki bahti aag mein

main bhi ek sayyal shoale ke waraq par likh sakun tafsir-e-dil

main na samjha warna hangamon bhari duniya mein ek aahaT ke sang

koi to tha aaj jis ka qahqaha dil mein hai daman-gir-e-dil

rut badalte hi chaman chu ham-safir ab ke bhi koson dur se

aa ke jab is shaKH par chahke mere dil mein baji zanjir-e-dil

kya safar tha be-sada sadiyon ke pul ke us taraf us moD tak

pai-ba-pai ubhra sunahri gard se ek nala-e-dil-gir-e-dil

war duniya ne kiye mujh par to 'amjad' main ne is ghamsan mein

apna sina chir kar rakh di niyam-e-harf mein shamshir-e-dil

(318) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jawedan Qadron Ki ShaMein Bujh Gain To Jal UThi Taqdir-e-dil In English By Famous Poet Majeed Amjad. Jawedan Qadron Ki ShaMein Bujh Gain To Jal UThi Taqdir-e-dil is written by Majeed Amjad. Read famous Poem Jawedan Qadron Ki ShaMein Bujh Gain To Jal UThi Taqdir-e-dil for youth and Student by Majeed Amjad. Free Download Jawedan Qadron Ki ShaMein Bujh Gain To Jal UThi Taqdir-e-dil in PDF.