Jab Ek Charagh-e-rahguzar Ki Kiran PaDe

jab ek charagh-e-rahguzar ki kiran paDe

honTon ki lau latif hijabon se chhan paDe

shaKH-e-abad se jhaDte zamanon ka rup hai

ye log jin ke ruKH pe guman-e-chaman paDe

ye kis hasin dayar ki ThanDi hawa chali

har mauja-e-KHayal pe sad-ha shikan paDe

ye kaun hai labon mein rasili ruten ghulin

palkon ki oT nind mein gul-gun gagan paDe

ek pal bhi ku-e-dil mein na Thahrao rah-naward

ab jis ke naqsh-e-pa mein chaman-dar-chaman paDe

ek jast is taraf bhi ghazal-e-zamana-raqs

rah teri dekhte hain KHata o KHutan paDe

jab anjuman tawajjoh-e-sad-guftugu mein ho

meri taraf bhi ek nigah-e-kam-suKHan paDe

sahra-e-zindagi mein jidhar bhi qadam uThe

raste mein ek aarzuon ka chaman paDe

is jalti dhup mein ye ghane saya-dar peD

main apni zindagi unhen de dun jo ban paDe

ai shatir-e-azal tere hathon ko chum lun

qarye mein mere nam jo diwana-pan paDe

ai subh-e-der-KHez unhen aawaz de jo hai

ek sham-e-zud-KHwab ke sukh mein magan paDe

'amjad' tariq-mai mein hai ye ehtiyat shart

ek dagh bhi kahin na sar-e-pairahan paDe

(348) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Ek Charagh-e-rahguzar Ki Kiran PaDe In English By Famous Poet Majeed Amjad. Jab Ek Charagh-e-rahguzar Ki Kiran PaDe is written by Majeed Amjad. Read famous Poem Jab Ek Charagh-e-rahguzar Ki Kiran PaDe for youth and Student by Majeed Amjad. Free Download Jab Ek Charagh-e-rahguzar Ki Kiran PaDe in PDF.