Kya Rup Dosti Ka Kya Rang Dushmani Ka

kya rup dosti ka kya rang dushmani ka

koi nahin jahan mein koi nahin kisi ka

ek tinka aashiyana ek ragni asasa

ek mausam-e-bahaaran mehman do ghaDi ka

aaKHir koi kinara is sail-e-be-karan ka

aaKHir koi mudawa is dard-e-zindagi ka

meri siyah shab ne ek umr aarzu ki

larze kabhi ufuq par taga sa raushni ka

shayad idhar se guzre phir bhi tera safina

baiTha hua hun sahil par nai-ba-lab kabhi ka

is iltifat par hon lakh iltifat qurban

mujh se kabhi na phera ruKH tu ne be-ruKHi ka

ab meri zindagi mein aansu hain aur na aahen

lekin ye ek miTha miTha sa rog ji ka

o muskuraate taro o khilkhilate phulo

koi ilaj meri aashufta-KHatiri ka

(358) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya Rup Dosti Ka Kya Rang Dushmani Ka In English By Famous Poet Majeed Amjad. Kya Rup Dosti Ka Kya Rang Dushmani Ka is written by Majeed Amjad. Read famous Poem Kya Rup Dosti Ka Kya Rang Dushmani Ka for youth and Student by Majeed Amjad. Free Download Kya Rup Dosti Ka Kya Rang Dushmani Ka in PDF.