Kya Sochte Ho Ab Phulon Ki Rut Bit Gai Rut Bit Gai

kya sochte ho ab phulon ki rut bit gai rut bit gai

wo raat gai wo baat gai wo rit gai rut bit gai

ek lahr uThi aur Dub gae honTon ke kanwal aaankhon ke diye

ek gunjti aandhi waqt ki bazi jit gai rut bit gai

tum aa gae meri bahon mein kaunain ki pengen jhul gain

tum bhul gae, jine ki jagat se rit gai rut bit gai

phir tair ke mere ashkon mein gul-posh zamane lauT chale

phir chheD ke dil mein Tison ke sangit gai rut bit gai

ek dhyan ke panw Dol gae ek soch ne baDh kar tham liya

ek aas hansi ek yaad suna kar git gai rut bit gai

ye lala-o-gul kya puchhte ho sab lutf-e-nazar ka qissa hai

rut bit gai jab dil se kisi ki pit gai rut bit gai

(335) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kya Sochte Ho Ab Phulon Ki Rut Bit Gai Rut Bit Gai In English By Famous Poet Majeed Amjad. Kya Sochte Ho Ab Phulon Ki Rut Bit Gai Rut Bit Gai is written by Majeed Amjad. Read famous Poem Kya Sochte Ho Ab Phulon Ki Rut Bit Gai Rut Bit Gai for youth and Student by Majeed Amjad. Free Download Kya Sochte Ho Ab Phulon Ki Rut Bit Gai Rut Bit Gai in PDF.