Apne Dil Mein Dar

apne dil mein Dar ho to ye baadal kis ko lubha sakte hain

apne dil mein Dar ho to sab ruten Daraoni lagti hain aur apni taraf hi gardan

jhuk jati hai

ye to apna hausla tha

itne andeshon mein bhi

nazren apni jaanib nahin uThin aur is ghanghor ghane kohre mein ja Dubi hain

aur ab meri sari duniya is kohre mein nahai hui haryawal ka hissa hai

meri KHushiyan bhi aur Dar bhi

aur isi raste par main ne lohe ke halqon mein

ek qaidi ko dekha

aahan chehra sipahi ki jarsi ka rag us qaidi ke ruKH par tha

har andesha to ek kunDi hai jo dil ko apni jaanib khinch ke rakhti hai aur wo qaidi bhi

khicha hua tha apne dil ke KHauf ki jaanib jis ki koi rut nahin hoti

main bhi apne andeshon ka qaidi hun lekin us qaidi ke andeshe to

ek mere siwa sab ke hain

ek wahi apne apne dukh ki kunDi

jis ke khichao se ek ek gardan apni jaanib jhuki hui hai

aise mein ab kaun ghaTaon bhari us subh-e-bahaaran ko dekhega

jo in bor lade andeshon par yun jhuki hui hai aamon ke baghon mein

meri ruh ke samne

(339) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Apne Dil Mein Dar In English By Famous Poet Majeed Amjad. Apne Dil Mein Dar is written by Majeed Amjad. Read famous Poem Apne Dil Mein Dar for youth and Student by Majeed Amjad. Free Download Apne Dil Mein Dar in PDF.