Aur Ye Insan

aur ye insan jo miTTi ka ek zarra hai jo miTTi se bhi kam-tar hai

apne liye DhunDe to us ke sare sharaf sachchi tamkinon mein hain

lekin kya ye takrimen milti hain

zar ki chamak se

tahzibon ki chhab se

saltanton ki dhaj se

nahin nahin to

phir kyun miTTi ke is zarre ko sajda kiya ek ek taqat ne

kya us ki rifat hi ki ye sab tasKHiren hain

main batla dun

kya us ki quwwat aur kaisi us ki tasKHiren

main batla dun

qahir jazbon ke aage bebas hone mein miTTi ka ye zarra

apne aap mein

jab miTTi se bhi kam-tar ho jata hai sunne wala us ki sunta hai

sunne wala jis ki sune wo to apne miTTi hone mein bhi anmol hai

(307) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aur Ye Insan In English By Famous Poet Majeed Amjad. Aur Ye Insan is written by Majeed Amjad. Read famous Poem Aur Ye Insan for youth and Student by Majeed Amjad. Free Download Aur Ye Insan in PDF.