Jin Lafzon Mein

jin lafzon mein hamare dilon ki baiaten hain kya sirf wo lafz hamare kuchh bhi na karne

ka kaffara ban sakte hain

kya kuchh chiKHte manon wali satren sahaara ban sakti hain un ka

jin ki aankhon mein us des ki had un viran sehnon tak hai

kaise ye sher aur kya un ki haqiqat

na sahab is apne lafzon bhare kanastar se chullu bhar kar bhik kisi ko de kar

hum se apne qarz nahin utrenge

aur ye qarz ab tak kis se aur kab utre hain

lakhon nusrat-mand hujumon ki KHandan KHandan KHunin aankhon se bhare hue

tariKH ke chaurahon par

sahib-e-taKHt-KHudawandon ki kaTti gardanen bhi hal kar na sakin ye masail

ek sail ke masail

apne apne urujon ki uftadgiyon mein Dub gain sab tahziben sab falsafe…

to ab ye sab harf zaburon mein jo mujallad hain kya hasil un ka…

jab tak mera ye dukh KHud mere lahu ki dhaDakti Taksalon mein Dhal ke duaon bhari is ek

maili jholi mein na khanke

jo raste ke kinare mere qadmon pe bichhi hai

(390) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jin Lafzon Mein In English By Famous Poet Majeed Amjad. Jin Lafzon Mein is written by Majeed Amjad. Read famous Poem Jin Lafzon Mein for youth and Student by Majeed Amjad. Free Download Jin Lafzon Mein in PDF.