Lakh Jahan Mein JhuTon Ki Man-mani Hai

lakh jahan mein jhuTon ki man-mani hai

sachchai ki apni rit purani hai

lab par aah-e-musalsal aankh mein pani hai

tanhai ka har lamha nuqsani hai

shor hamesha rahta hai is kuche mein

dil hai ya sine mein ek zindani hai

jis ko chahen be-izzat kar sakte hain

aap baDe hain aap ko ye aasani hai

kamzoron par rahmat ban kar chha jao

mera qaul nahin hukm-e-rabbani hai

hum sab un ke daman se wabasta hain

mushkil mein bhi hum ko ye aasani hai

tujh ko zamana mujh se chhine na-mumkin

tera mera rishta ruhani hai

main bhi un ke maddahon mein shamil hun

is duniya par meri bhi sultani hai

dharti ambar yari us ki hai sab se

'majid' jis ko kahte hain sailani hai

(531) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lakh Jahan Mein JhuTon Ki Man-mani Hai In English By Famous Poet Majid Deobandi. Lakh Jahan Mein JhuTon Ki Man-mani Hai is written by Majid Deobandi. Read famous Poem Lakh Jahan Mein JhuTon Ki Man-mani Hai for youth and Student by Majid Deobandi. Free Download Lakh Jahan Mein JhuTon Ki Man-mani Hai in PDF.