Arsh Se RuKH Jaanib-e-duniya-e-dun Karna PaDa

arsh se ruKH jaanib-e-duniya-e-dun karna paDa

bandagi mein kya se kya ye sar nigun karna paDa

minnat-e-sahil bhi sar le li bhanwar mein Dolte

han ye hila bhi hamein bahr-e-sukun karna paDa

samne us yar ke bhi aur sar-e-darbar bhi

ek ye dil tha jise har bar KHun karna paDa

hum ki the ahl-e-safa ye raaz kis par kholte

qafile ka sath aaKHir tark kyun karna paDa

KHam na ho paya to sar hum ne qalam karwa liya

wun na kuchh 'majid' hua hum se to yun karna paDa

(415) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Arsh Se RuKH Jaanib-e-duniya-e-dun Karna PaDa In English By Famous Poet Majid Siddiqui. Arsh Se RuKH Jaanib-e-duniya-e-dun Karna PaDa is written by Majid Siddiqui. Read famous Poem Arsh Se RuKH Jaanib-e-duniya-e-dun Karna PaDa for youth and Student by Majid Siddiqui. Free Download Arsh Se RuKH Jaanib-e-duniya-e-dun Karna PaDa in PDF.