Dhoka Tha Har Ek Barg Pe TuTe Hue Par Ka

dhoka tha har ek barg pe TuTe hue par ka

wa jis ke liye rah gaya daman sharar ka

main ashk hun main os ka qatra hun sharar hun

andaz baham hai mujhe pani ke safar ka

karwaT si badalta hai andhera to use bhi

de dete hain hum sada-manush nam sahar ka

tohmat si liye phirte hain sadiyon se sar apne

ruswa hai bahut nam yahan ahl-e-hunar ka

qaem na raha KHak se jab rishta-e-jaan to

bas dhul pata puchhne aati thi shajar ka

jo shah ke kandhon ki wajahat ka sabab hai

dekho to bhala taj hai kis kasa-e-sar ka

ashkon se tapan hai kabhi aahon se KHunuk hai

ek umr se 'majid' yahi mausam hai nagar ka

(372) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dhoka Tha Har Ek Barg Pe TuTe Hue Par Ka In English By Famous Poet Majid Siddiqui. Dhoka Tha Har Ek Barg Pe TuTe Hue Par Ka is written by Majid Siddiqui. Read famous Poem Dhoka Tha Har Ek Barg Pe TuTe Hue Par Ka for youth and Student by Majid Siddiqui. Free Download Dhoka Tha Har Ek Barg Pe TuTe Hue Par Ka in PDF.