KHas-o-KHashak Bhi Kab Ke Hain Bhanwar Se Nikle

KHas-o-KHashak bhi kab ke hain bhanwar se nikle

ek hamin hain ki nahin nargha-e-shar se nikle

zaKHm wo khul bhi to sakta hai silaya hai jise

hum bhala kab hain had-e-KHauf-o-KHatar se nikle

ye safar apna kahin jaanib-e-mahshar hi na ho

hum liye kis ka janaza hain ye ghar se nikle

kal jo Tapke the sar-e-kucha-e-kotah-nazran

ashk ab ke bhi wahi dida-e-tar se nikle

aks kuchh apna hi aaina-e-haalat mein tha

saTpaTae hue jab dam-e-safar se nikle

kaun kah sakta hai 'majid' ki ba-in kam-nigahi

hashr kya saat-e-ainda ke dar se nikle

(390) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHas-o-KHashak Bhi Kab Ke Hain Bhanwar Se Nikle In English By Famous Poet Majid Siddiqui. KHas-o-KHashak Bhi Kab Ke Hain Bhanwar Se Nikle is written by Majid Siddiqui. Read famous Poem KHas-o-KHashak Bhi Kab Ke Hain Bhanwar Se Nikle for youth and Student by Majid Siddiqui. Free Download KHas-o-KHashak Bhi Kab Ke Hain Bhanwar Se Nikle in PDF.