Chand Ki Kirnon Ki Chadar Ne Sab Ke Rup Chhupae Hain

chand ki kirnon ki chadar ne sab ke rup chhupae hain

aankhon wale sab hi ja kar nagri se lauT aae hain

tariki ka nam ho raushan aage pichhe ek diya

raushniyon ke virane mein aage pichhe sae hain

kirnon ke dhagon ko sameTe un ka gola Dub gaya

nangi dharti lambi raaten dekh ke hum tharrae hain

jhaDi jhaDi sungh raha hun koi bhi KHargosh nahin

kutton jaise pair kahan se har jhaDi tak aae hain

lohe aur patthar ki sari taswiren miT jaengi

kaghaz ke parde par hum ne sab ke rup jamae hain

ghanTi ki aawazen sach hain chiKH pe koi kan na do

lohe ke tabut mein 'majid' insanon ke sae hain

(368) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chand Ki Kirnon Ki Chadar Ne Sab Ke Rup Chhupae Hain In English By Famous Poet Majid-ul-Baqri. Chand Ki Kirnon Ki Chadar Ne Sab Ke Rup Chhupae Hain is written by Majid-ul-Baqri. Read famous Poem Chand Ki Kirnon Ki Chadar Ne Sab Ke Rup Chhupae Hain for youth and Student by Majid-ul-Baqri. Free Download Chand Ki Kirnon Ki Chadar Ne Sab Ke Rup Chhupae Hain in PDF.