Jab Palak Jhapke To Manzar Ka Waraq Ban Jae Hai

jab palak jhapke to manzar ka waraq ban jae hai

dil mein kuchh aae nazar bahar nazar kuchh aae hai

chup ka sidha peD hai bolo to jhukta jae hai

hae chhune ki tamanna jo mujhe taDpae hai

sardiyon ki lambi raaten oDh kar so jae hai

din ke suraj ke KHayalon hi se dil garmae hai

yaad ki KHushbu se apne jism ko mahkae hai

wo pari-paikar jo mere nam se sharmae hai

har ghaDi har aan bijli ki tarah lahrae hai

meri kachchi koThari mein jhank kar rah jae hai

zat ke ghaaron mein chhup kar hi koi bahlae hai

raushni mein jism ki KHwahish mujhe le aae hai

chuDiyon ki bansari par rag 'majid' gae hai

ghup andhere mein sada us ki badan ban jae hai

(363) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Palak Jhapke To Manzar Ka Waraq Ban Jae Hai In English By Famous Poet Majid-ul-Baqri. Jab Palak Jhapke To Manzar Ka Waraq Ban Jae Hai is written by Majid-ul-Baqri. Read famous Poem Jab Palak Jhapke To Manzar Ka Waraq Ban Jae Hai for youth and Student by Majid-ul-Baqri. Free Download Jab Palak Jhapke To Manzar Ka Waraq Ban Jae Hai in PDF.