Sapne Ki Wadi Ko Taj Kar Rup-nagar Mein Aaya Kar

sapne ki wadi ko taj kar rup-nagar mein aaya kar

din ke phaile kaghaz par apni taswir banaya kar

dhup kaDi hai nanga sar hi sahraon se guzrunga

apne dupaTTe ke pallu ka mere sar par saya kar

ek samundar ki maujon ko ek bhanwar mein rahne de

nili aaankhon ke sagar ko aaise mat chhalkaya kar

honT ki surKHi jhank uThti hai shishe ke paimanon se

miTTi ke bartan mein pani pi kar pyas bujhaya kar

dil ki aawazon ka gumbad aabaadi mein phahTta hai

dur kisi KHamosh kuen mein munh laTka kar gaya kar

bis baras se ek tare par man ki jot jagata hun

diwali ki raat ko tu bhi koi diya jalaya kar

'majid' ne bairag liya hai koi aisi baat nahin

idhar udhar ki baaten kar ke logon ko samjhaya kar

(294) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sapne Ki Wadi Ko Taj Kar Rup-nagar Mein Aaya Kar In English By Famous Poet Majid-ul-Baqri. Sapne Ki Wadi Ko Taj Kar Rup-nagar Mein Aaya Kar is written by Majid-ul-Baqri. Read famous Poem Sapne Ki Wadi Ko Taj Kar Rup-nagar Mein Aaya Kar for youth and Student by Majid-ul-Baqri. Free Download Sapne Ki Wadi Ko Taj Kar Rup-nagar Mein Aaya Kar in PDF.