Soch Ke Be-samt Darwazon Pe Jab Patthar Laga

soch ke be-samt darwazon pe jab patthar laga

main simaT kar uD gaya KHali badan ka ghar laga

ghurti hain har taraf be-nur aanhken kis liye

aaina-KHane mein aandhe se kaho chakkar laga

yaad mein kapDe badalne ke liye mujh se chhupa

wo kahin bhi tha mujhe kuchh der dariya par laga

jin munDeron se kabutar jhankte the raat din

itni unchi ho gai hain dekhte hi Dar laga

ittifaqan ghanTiyan si kan mein bajne lagin

main akela hi tha ghar mein sara ghar mandar laga

(341) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Soch Ke Be-samt Darwazon Pe Jab Patthar Laga In English By Famous Poet Majid-ul-Baqri. Soch Ke Be-samt Darwazon Pe Jab Patthar Laga is written by Majid-ul-Baqri. Read famous Poem Soch Ke Be-samt Darwazon Pe Jab Patthar Laga for youth and Student by Majid-ul-Baqri. Free Download Soch Ke Be-samt Darwazon Pe Jab Patthar Laga in PDF.