Wo Zard Chehra Moattar Nigah Jaisa Tha

wo zard chehra moattar nigah jaisa tha

hawa ka rup tha bolo to aah jaisa tha

alil waqt ki poshak tha buKHar us ka

wo ek jism tha lekin karah jaisa tha

bhaTak raha tha andhere mein dard ka dariya

wo ek raat ka jugnu tha rah jaisa tha

gali ke moD pe Thahra hua tha ek saya

libas chup ka badan par nibah jaisa tha

chala to sae ke manind sath sath chala

ruka to mere liye mahr-o-mah jaisa tha

qarib dekh ke us ko ye baat kis se kahun

KHayal dil mein jo aaya gunah jaisa tha

bahut si baaton mein majbur tha wo hum se bhi

takallufat mein aalam-panah jaisa tha

KHabar ke uDte hi yunhi ki mar gaya 'majid'

purane ghar ka saman jashn-gah jaisa tha

(318) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Zard Chehra Moattar Nigah Jaisa Tha In English By Famous Poet Majid-ul-Baqri. Wo Zard Chehra Moattar Nigah Jaisa Tha is written by Majid-ul-Baqri. Read famous Poem Wo Zard Chehra Moattar Nigah Jaisa Tha for youth and Student by Majid-ul-Baqri. Free Download Wo Zard Chehra Moattar Nigah Jaisa Tha in PDF.