Ye Zor-o-shor Sar-e-abshaar Kaisa Hai

ye zor-o-shor sar-e-abshaar kaisa hai

KHamosh kab se hai ye kohsar kaisa hai

koi hai aur bhi aaega jo usi jaisa

wo aa chuka hai magar intizar kaisa hai

jo chahte hain kisi ko yahan na aane den

batao shahr-e-talab mein hisar kaisa hai

ye kaisi shaKH ke paiwand hain daraKHton par

ye kaise phal hain ye rang-e-bahaar kaisa hai

hamesha soch se kam hi raha hai har hasil

KHayal-o-KHwab ka ye intishaar kaisa hai

kisi bhi ghar mein wo pahli mohabbat hai hi nahin

koi bhi kahta nahin ye dayar kaisa hai

har ek lafz ke mani badal gae 'majid'

jahan-e-sher mein ye KHalfashaar kaisa hai

(397) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Zor-o-shor Sar-e-abshaar Kaisa Hai In English By Famous Poet Majid-ul-Baqri. Ye Zor-o-shor Sar-e-abshaar Kaisa Hai is written by Majid-ul-Baqri. Read famous Poem Ye Zor-o-shor Sar-e-abshaar Kaisa Hai for youth and Student by Majid-ul-Baqri. Free Download Ye Zor-o-shor Sar-e-abshaar Kaisa Hai in PDF.