Zaban Jis Ko Har Ek Bole Usi Ka Nam Hai Urdu

zaban jis ko har ek bole usi ka nam hai urdu

zaban-e-sher mein fitrat ka ek inam hai urdu

sabhi is ko samajhte hain sabhi mein aam hai urdu

zaban koi bhi ho har ek ka anjam hai urdu

gae wo din ki jab kuchh log hi is ko samajhte the

zabanon mein ubhar aai hai tasht-az-baam hai urdu

kahin hai ibtida is ki kahin hai intiha mazhar

kahin aaghaz hai urdu kahin anjam hai urdu

ye ba-aKHlaq qaumon mein sirishta hai uKHuwwat ka

suluk-e-ghair se bhi aaj KHush-anjam hai urdu

muraqqa hai hasin tahrik-e-afsani ke KHakon ka

mukammal ijtima-e-gauhar-ayyam hai urdu

urus-e-zindagi ki tab-o-zinat jis zaban se hai

usi KHush-kaam fitrat ka achhuta nam hai urdu

dayar-e-pak ya hindostan donon watan is ke

zaban har ek jis mein qaid hai wo dam hai urdu

zara si Thes se bhi shisha-e-dil TuT jata hai

bahut nazuk magar az-qism istihkaam hai urdu

ba-har-unwan yahi ek peshwa-e-husn-o-KHubi hai

ghalat hai asia mein morid-e-ilzam hai urdu

mamalik-ghair mein bhi aaj is ko sab samajhte hain

watan walon mein ek taswir-e-sad-aqwam hai urdu

kisi firqe ka leader ho wo leader ban nahin sakta

na samjhe jab talak janta mein kitni aam hai urdu

safarat ho cinema ho ki Tw radio sab mein

suron ka nashsha hai fikr-o-nazar ka jam hai urdu

isi ko bolne mein ruh ko ab hai sukun hasil

zamane ki zabanon ke liye paigham hai urdu

musalsal irtaqa-e-adamiyat is se mazhar hai

ba-qaid-e-nutq-e-'majid' rahbar-e-aqwam hai urdu

(400) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zaban Jis Ko Har Ek Bole Usi Ka Nam Hai Urdu In English By Famous Poet Majid-ul-Baqri. Zaban Jis Ko Har Ek Bole Usi Ka Nam Hai Urdu is written by Majid-ul-Baqri. Read famous Poem Zaban Jis Ko Har Ek Bole Usi Ka Nam Hai Urdu for youth and Student by Majid-ul-Baqri. Free Download Zaban Jis Ko Har Ek Bole Usi Ka Nam Hai Urdu in PDF.