Aah-e-jaan-soz Ki Mahrumi-e-tasir Na Dekh

aah-e-jaan-soz ki mahrumi-e-tasir na dekh

ho hi jaegi koi jine ki tadbir na dekh

hadse aur bhi guzre teri ulfat ke siwa

han mujhe dekh mujhe ab meri taswir na dekh

ye zara dur pe manzil ye ujala ye sukun

KHwab ko dekh abhi KHwab ki tabir na dekh

dekh zindan se pare rang-e-chaman josh-e-bahaar

raqs karna hai to phir panw ki zanjir na dekh

kuchh bhi hun phir bhi dukhe dil ki sada hun nadan

meri baaton ko samajh talKHi-e-taqrir na dekh

wahi 'majruh' wahi shair-e-awara-mizaj

koi uTTha hai teri bazm se dil-gir na dekh

(337) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aah-e-jaan-soz Ki Mahrumi-e-tasir Na Dekh In English By Famous Poet Majrooh Sultanpuri. Aah-e-jaan-soz Ki Mahrumi-e-tasir Na Dekh is written by Majrooh Sultanpuri. Read famous Poem Aah-e-jaan-soz Ki Mahrumi-e-tasir Na Dekh for youth and Student by Majrooh Sultanpuri. Free Download Aah-e-jaan-soz Ki Mahrumi-e-tasir Na Dekh in PDF.