AaKHir Gham-e-jaanan Ko Ai Dil BaDh Kar Gham-e-dauran Hona Tha

aaKHir gham-e-jaanan ko ai dil baDh kar gham-e-dauran hona tha

is qatre ko banna tha dariya is mauj ko tufan hona tha

har moD pe mil jate hain abhi firdaus-o-jinan ke shaidai

tujh ko to abhi kuchh aur hasin ai aalam-e-imkan hona tha

wo jis ke gudaz-e-mehnat se pur-nur shabistan hai tera

ai shoKH usi bazu pe teri zulfon ko pareshan hona tha

aati hi rahi hai gulshan mein ab ke bhi bahaar aai hai to kya

hai yun ki qafas ke goshon se elan-e-bahaaran hona tha

aaya hai hamare mulk mein bhi ek daur-e-zuleKHai yani

ab wo gham-e-zindan dete hain jin ko gham-e-zindan hona tha

ab khul ke kahunga har gham-e-dil 'majruh' nahin wo waqt ki jab

ashkon mein sunana tha mujh ko aahon mein ghazal-KHwan hona tha

(365) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

AaKHir Gham-e-jaanan Ko Ai Dil BaDh Kar Gham-e-dauran Hona Tha In English By Famous Poet Majrooh Sultanpuri. AaKHir Gham-e-jaanan Ko Ai Dil BaDh Kar Gham-e-dauran Hona Tha is written by Majrooh Sultanpuri. Read famous Poem AaKHir Gham-e-jaanan Ko Ai Dil BaDh Kar Gham-e-dauran Hona Tha for youth and Student by Majrooh Sultanpuri. Free Download AaKHir Gham-e-jaanan Ko Ai Dil BaDh Kar Gham-e-dauran Hona Tha in PDF.