Ab Ahl-e-dard Ye Jine Ka Ehtimam Karen

ab ahl-e-dard ye jine ka ehtimam karen

use bhula ke gham-e-zindagi ka nam karen

fareb kha ke un aankhon ka kab talak ai dil

sharab-e-KHam piyen raqs-e-na-tamam karen

gham-e-hayat ne aawara kar diya warna

thi aarzu ki tere dar pe subh o sham karen

na mangun baada-e-gul-gun se bhik masti ki

agar tere lab-e-lalin mera ye kaam karen

na dekhen dair o haram su-e-rah-rawan-e-hayat

ye qafile to na jaane kahan qayam karen

hain is kashakash-e-paiham mein zindagi ke maze

phir ek bar koi sai-e-na-tamam karen

sikhaen dast-e-talab ko ada-e-bebaki

payam-e-zer-labi ko sala-e-am karen

ghulam rah chuke toDen ye band-e-ruswai

kuchh apne bazu-e-mehnat ka ehtiram karen

zamin ko mil ke sanwaren misal-e-ru-e-nigar

ruKH-e-nigar se raushan charagh-e-baam karen

phir uTh ke garm karen karobar-e-zulf-o-junun

phir apne sath use bhi asir-e-dam karen

meri nigah mein hai arz-e-moscow 'majruh'

wo sarzamin ki sitare jise salam karen

(442) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ab Ahl-e-dard Ye Jine Ka Ehtimam Karen In English By Famous Poet Majrooh Sultanpuri. Ab Ahl-e-dard Ye Jine Ka Ehtimam Karen is written by Majrooh Sultanpuri. Read famous Poem Ab Ahl-e-dard Ye Jine Ka Ehtimam Karen for youth and Student by Majrooh Sultanpuri. Free Download Ab Ahl-e-dard Ye Jine Ka Ehtimam Karen in PDF.