Chaman Hai Maqtal-e-naghma Ab Aur Kya Kahiye

chaman hai maqtal-e-naghma ab aur kya kahiye

bas ek sukut ka aalam jise nawa kahiye

asir-e-band-e-zamana hun sahaban-e-chaman

meri taraf se gulon ko bahut dua kahiye

yahi hai ji mein ki wo rafta-e-taghaful o naz

kahin mile to wahi qissa-e-wafa kahiye

use bhi kyun na phir apne dil-e-zabun ki tarah

KHarab-e-kakul o aawara-e-ada kahiye

ye ku-e-yar ye zindan ye farsh-e-mai-KHana

inhen hum ahl-e-tamanna ke naqsh-e-pa kahiye

wo ek baat hai kahiye tulu-e-subh-e-nashat

ki tabish-e-badan o shola-e-hina kahiye

wo ek harf hai kahiye use hikayat-e-zulf

ki shikwa-e-rasan o bandish-e-bala kahiye

rahe na aankh to kyun dekhiye sitam ki taraf

kaTe zaban to kyun harf-e-na-rawa kahiye

pukariye kaf-e-qatil ko ab mualij-e-dil

baDhe jo naKHun-e-KHanjar girah-kusha kahiye

paDe jo sang to kahiye use niwala-e-zar

lage jo zaKHm badan par use qaba kahiye

fasana jabr ka yaron ki tarah kyun 'majruh'

maza to jab hai ki jo kahiye barmala kahiye

(326) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Chaman Hai Maqtal-e-naghma Ab Aur Kya Kahiye In English By Famous Poet Majrooh Sultanpuri. Chaman Hai Maqtal-e-naghma Ab Aur Kya Kahiye is written by Majrooh Sultanpuri. Read famous Poem Chaman Hai Maqtal-e-naghma Ab Aur Kya Kahiye for youth and Student by Majrooh Sultanpuri. Free Download Chaman Hai Maqtal-e-naghma Ab Aur Kya Kahiye in PDF.