Dast-e-munim Meri Mehnat Ka KHaridar Sahi

dast-e-munim meri mehnat ka KHaridar sahi

koi din aur main ruswa sar-e-bazar sahi

phir bhi kahlaunga aawara-e-gesu-e-bahaar

main tera dam-e-KHizan lakh giraftar sahi

jast karta hun to laD jati hai manzil se nazar

hail-e-rah koi aur bhi diwar sahi

ghairat-e-sang hai saqi ye gulu-e-tishna

tere paimane mein jo mauj hai talwar sahi

main ne dekhi dekhi usi mein gham-e-dauran ki jhalak

be-KHabar rang-e-jahan se nigah-e-yar sahi

un se bichhDe hue 'majruh' zamana guzra

ab bhi honTon mein wahi garmi-e-ruKHsar sahi

(401) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dast-e-munim Meri Mehnat Ka KHaridar Sahi In English By Famous Poet Majrooh Sultanpuri. Dast-e-munim Meri Mehnat Ka KHaridar Sahi is written by Majrooh Sultanpuri. Read famous Poem Dast-e-munim Meri Mehnat Ka KHaridar Sahi for youth and Student by Majrooh Sultanpuri. Free Download Dast-e-munim Meri Mehnat Ka KHaridar Sahi in PDF.