Is Bagh Mein Wo Sang Ke Qabil Kaha Na Jae

is bagh mein wo sang ke qabil kaha na jae

jab tak kisi samar ko mera dil kaha na jae

shaKHon pe nok-e-tegh se kya kya khile hain phul

andaz-e-lala-kari-e-qatil kaha na jae

kis ke lahu ke rang hain ye KHar shoKH-rang

kya gul katar gai rah-e-manzil kaha na jae

baran ke muntazir hain samundar pe tishna-lab

ahwal-e-mezbani-e-sahil kaha na jae

mere hi sang-o-KHisht se tamir-e-baam-o-dar

mere hi ghar ko shahr mein shamil kaha na jae

zindan khula hai jab se hue hain riha asir

har gam hai wo shor-e-salasil kaha na jae

hum ahl-e-ishq mein nahin harf-e-gunah se kam

wo harf-e-shauq jo sar-e-mahfil kaha na jae

jis hath mein hai tegh-e-jafa us ka nam lo

'majruh' se to sae ko qatil kaha na jae

(325) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Is Bagh Mein Wo Sang Ke Qabil Kaha Na Jae In English By Famous Poet Majrooh Sultanpuri. Is Bagh Mein Wo Sang Ke Qabil Kaha Na Jae is written by Majrooh Sultanpuri. Read famous Poem Is Bagh Mein Wo Sang Ke Qabil Kaha Na Jae for youth and Student by Majrooh Sultanpuri. Free Download Is Bagh Mein Wo Sang Ke Qabil Kaha Na Jae in PDF.