Jab Hua Irfan To Gham Aaram-e-jaan Banta Gaya

jab hua irfan to gham aaram-e-jaan banta gaya

soz-e-jaanan dil mein soz-e-digaran banta gaya

rafta rafta munqalib hoti gai rasm-e-chaman

dhire dhire naghma-e-dil bhi fughan banta gaya

main akela hi chala tha jaanib-e-manzil magar

log sath aate gae aur karwan banta gaya

main to jab jaanun ki bhar de saghar-e-har-KHas-o-am

yun to jo aaya wahi pir-e-mughan banta gaya

jis taraf bhi chal paDe hum aabla-payan-e-shauq

KHar se gul aur gul se gulsitan banta gaya

sharh-e-gham to muKHtasar hoti gai us ke huzur

lafz jo munh se na nikla dastan banta gaya

dahr mein 'majruh' koi jawedan mazmun kahan

main jise chhuta gaya wo jawedan banta gaya

(329) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Hua Irfan To Gham Aaram-e-jaan Banta Gaya In English By Famous Poet Majrooh Sultanpuri. Jab Hua Irfan To Gham Aaram-e-jaan Banta Gaya is written by Majrooh Sultanpuri. Read famous Poem Jab Hua Irfan To Gham Aaram-e-jaan Banta Gaya for youth and Student by Majrooh Sultanpuri. Free Download Jab Hua Irfan To Gham Aaram-e-jaan Banta Gaya in PDF.