Jis Dam Ye Suna Hai Subh-e-watan Mahbus Faza-e-zindan Mein

jis dam ye suna hai subh-e-watan mahbus faza-e-zindan mein

jaise ki saba ai ham-qafso betab hum aae zindan mein

ho tegh-e-asar zanjir-e-qadam phir bhi hain naqib-e-manzil hum

zaKHmon se charagh-e-rahguzar baiThe hain jalae zindan mein

sad-chaak qaba-e-amn-o-sukun uryan hai ahinsai ka junun

kuchh KHun se shahidon ne apne wo gul hain khilae zindan mein

ye jabr-e-siyasat ye insan mazlum aahen majbur fughan

zaKHmon ki mahak daghon ka dhuan mat puchh faza-e-zindan mein

ghairon ki KHalish apnon ki lagan soz-e-gham-e-jaanan dard-e-watan

kya kahiye ki hum hain kis kis ko sine se lagae zindan mein

gul banti hai shayad KHak-e-watan shayad ki safar karti hai KHizan

KHushbu-e-bahaaran milti hai kuchh din se hawa-e-zindan mein

mujrim the jo hum so qaid hue sayyaad magar ab ye to bata

har waqt ye kis ko DhunDte hain diwar ke sae zindan mein

jismon pe ye kis ka nam-e-siyah likh dete hain koDon ke nishan

hain tak mein kis ki zanjiren ab aankh lagae zindan mein

raftar-e-zamana lai jin ki gati hai gul-e-naghma jin ka

hum gate hain un aawazon se aawaz milae zindan mein

(381) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jis Dam Ye Suna Hai Subh-e-watan Mahbus Faza-e-zindan Mein In English By Famous Poet Majrooh Sultanpuri. Jis Dam Ye Suna Hai Subh-e-watan Mahbus Faza-e-zindan Mein is written by Majrooh Sultanpuri. Read famous Poem Jis Dam Ye Suna Hai Subh-e-watan Mahbus Faza-e-zindan Mein for youth and Student by Majrooh Sultanpuri. Free Download Jis Dam Ye Suna Hai Subh-e-watan Mahbus Faza-e-zindan Mein in PDF.