KHatm Shor-e-tufan Tha Dur Thi Siyahi Bhi

KHatm shor-e-tufan tha dur thi siyahi bhi

dam ke dam mein afsana thi meri tabahi bhi

iltifat samjhun ya be-ruKHi kahun is ko

rah gai KHalish ban kar us ki kam-nigahi bhi

us nazar ke uThne mein us nazar ke jhukne mein

naghma-e-sahr bhi hai aah-e-subh-gahi bhi

yaad kar wo din jis din teri saKHt-giri pur

ashk bhar ke uTThi thi meri be-gunahi bhi

pasti-e-zamin se hai rifat-e-falak qaem

meri KHasta-haali se teri kaj-kulahi bhi

shama bhi ujala bhi main hi apni mahfil ka

main hi apni manzil ka rahbar bhi rahi bhi

gumbadon se palTi hai apni hi sada 'majruh'

masjidon mein ki main ne ja ke dad-KHwahi bhi

(387) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHatm Shor-e-tufan Tha Dur Thi Siyahi Bhi In English By Famous Poet Majrooh Sultanpuri. KHatm Shor-e-tufan Tha Dur Thi Siyahi Bhi is written by Majrooh Sultanpuri. Read famous Poem KHatm Shor-e-tufan Tha Dur Thi Siyahi Bhi for youth and Student by Majrooh Sultanpuri. Free Download KHatm Shor-e-tufan Tha Dur Thi Siyahi Bhi in PDF.