KHanjar Ki Tarah Bu-e-saman Tez Bahut Hai

KHanjar ki tarah bu-e-saman tez bahut hai

mausam ki hawa ab ke junun-KHez bahut hai

ras aae to hai chhanw bahut barg o shajar ki

hath aae to har shaKH samar-rez bahut hai

logo meri gul-kari-e-wahshat ka sila kya

diwane ko ek harf-e-dil-awez bahut hai

munim ki tarah pir-e-haram pite hain wo jam

rindon ko bhi jis jam se parhez bahut hai

maslub hua koi sar-e-rah-e-tamanna

aawaz-e-jaras pichhle pahar tez bahut hai

'majruh' sune kaun teri talKH-nawai

guftar-e-azizan shakar-amez bahut hai

(387) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHanjar Ki Tarah Bu-e-saman Tez Bahut Hai In English By Famous Poet Majrooh Sultanpuri. KHanjar Ki Tarah Bu-e-saman Tez Bahut Hai is written by Majrooh Sultanpuri. Read famous Poem KHanjar Ki Tarah Bu-e-saman Tez Bahut Hai for youth and Student by Majrooh Sultanpuri. Free Download KHanjar Ki Tarah Bu-e-saman Tez Bahut Hai in PDF.